dekhun to wo samne baiTha hua hai
dekhūñ to vo sāmne baiThā huā hai
sochūñ to ik mīloñ lambā fāsla hai
naam tanhā.ī ne terā likh diyā hai
har koī chehre ko mere paḌh rahā hai
chhū liyā thā ḳhvāb meñ tum ko kisī ne
aaj tak vo ḳhud ko mujrim māntā hai
muddatoñ pahle maiñ us kā ho gayā par
vo abhī mujh ko ḳhudā se māñgtā hai
yaad terī dil pe chhā.ī hai ghaTā sī
tez hai barsāt jangal bhīgtā hai
kyā kabhī pahle nahīñ rūThā kisī se
muskurātā kyoñ hai gar mujh se ḳhafā hai
chāñd kī kirneñ huī jaatī haiñ resham
aur sannāTā bhī gahrā ho chalā hai
vo mulā.em reshmī lahja kisī kā
merī ġhazloñ meñ nadī sā bah rahā hai
dekhun to wo samne baiTha hua hai
sochun to ek milon lamba fasla hai
nam tanhai ne tera likh diya hai
har koi chehre ko mere paDh raha hai
chhu liya tha KHwab mein tum ko kisi ne
aaj tak wo KHud ko mujrim manta hai
muddaton pahle main us ka ho gaya par
wo abhi mujh ko KHuda se mangta hai
yaad teri dil pe chhai hai ghaTa si
tez hai barsat jangal bhigta hai
kya kabhi pahle nahin ruTha kisi se
muskuraata kyon hai gar mujh se KHafa hai
chand ki kirnen hui jati hain resham
aur sannaTa bhi gahra ho chala hai
wo mulaem reshmi lahja kisi ka
meri ghazlon mein nadi sa bah raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.