den dida-e-KHush-KHwab ko tabir kahan tak
deñ dīda-e-ḳhush-ḳhvāb ko ta.abīr kahāñ tak
ai vaqt tire jabr kī tauqīr kahāñ tak
kab tak ki kaho jazba-e-tāmīr ko taḳhrīb
ai ahl-e-safā jhuuT kī tash.hīr kahāñ tak
ab dost banāne kā hunar bhī zarā sīkheñ
kī jā-e-mah-o-najm kī tasḳhīr kahāñ tak
ai shahr-e-anā tere fareboñ ke bharam meñ
ā.īna-misāloñ kī ho tahqīr kahāñ tak
har aan koī mujh meñ nayā TuuT rahā hai
āḳhir koī ḳhud ko kare ta.amīr kahāñ tak
den dida-e-KHush-KHwab ko tabir kahan tak
ai waqt tere jabr ki tauqir kahan tak
kab tak ki kaho jazba-e-tamir ko taKHrib
ai ahl-e-safa jhuT ki tashhir kahan tak
ab dost banane ka hunar bhi zara sikhen
ki ja-e-mah-o-najm ki tasKHir kahan tak
ai shahr-e-ana tere farebon ke bharam mein
aaina-misalon ki ho tahqir kahan tak
har aan koi mujh mein naya TuT raha hai
aaKHir koi KHud ko kare tamir kahan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.