der se so kar uThne walo taDpo lekin shor na ho
der se so kar uThne vaalo taḌpo lekin shor na ho
tum ko haq hai ā.īnoñ ko toḌo lekin shor na ho
ham-sā.e kā sukh to us ke ḳhvāb kā puurā honā hai
tum par riqqat taarī ho to ro lo lekin shor na ho
shaam Dhale parvāz simaT kar shāḳhoñ par aa jaatī hai
apnī āñkheñ rāhguzar meñ rakkho lekin shor na ho
dīvāne bhī ahl-e-samā.at kī ḳhidmat kar sakte haiñ
dil hoñToñ par aa jaa.e to bolo lekin shor na ho
'mohsin' kis ko fursat hai jo tesha le kar aa.e yahāñ
apne but ko apne haath se toḌo lekin shor na ho
der se so kar uThne walo taDpo lekin shor na ho
tum ko haq hai aainon ko toDo lekin shor na ho
ham-sae ka sukh to us ke KHwab ka pura hona hai
tum par riqqat tari ho to ro lo lekin shor na ho
sham Dhale parwaz simaT kar shaKHon par aa jati hai
apni aankhen rahguzar mein rakkho lekin shor na ho
diwane bhi ahl-e-samaat ki KHidmat kar sakte hain
dil honTon par aa jae to bolo lekin shor na ho
'mohsin' kis ko fursat hai jo tesha le kar aae yahan
apne but ko apne hath se toDo lekin shor na ho
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 34)
- Author : mohsin asraar
- Publication : a-128 jinah housing society lal mohammad chudhry road block-8/7 PECSH Karachi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.