der tak hum ek saya rah par dekha kiye
der tak ham ek saayā raah par dekhā kiye
kaun thā vo ham ye apne aap se pūchhā kiye
jhiil ke Thahre hue paanī meñ patthar pheñk kar
dā.era uThtī huī lahroñ kā ham dekhā kiye
aisā lagtā hai ki koī hādsa guzrā yahāñ
siskiyāñ letī huī suunī Dagar dekhā kiye
khet jitne the vo pyāse ke piyāse hī rahe
aur bādal parbatoñ par jhuum kar barsā kiye
raat din dil kī ḳhalish baḌhtī ga.ī baḌhtī ga.ī
chāra-gar chup the 'ġhazāla' ham-nafas dekhā kiye
der tak hum ek saya rah par dekha kiye
kaun tha wo hum ye apne aap se puchha kiye
jhil ke Thahre hue pani mein patthar phenk kar
daera uThti hui lahron ka hum dekha kiye
aisa lagta hai ki koi hadsa guzra yahan
siskiyan leti hui suni Dagar dekha kiye
khet jitne the wo pyase ke piyase hi rahe
aur baadal parbaton par jhum kar barsa kiye
raat din dil ki KHalish baDhti gai baDhti gai
chaara-gar chup the 'ghazala' ham-nafas dekha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.