der tak ungliyan nihaarun main
der tak uñgliyāñ nihārūñ maiñ
terī zulfoñ ko jab sañvārūñ maiñ
apne sar ko badan se duur karo
terā sadqa agar utārūñ maiñ
aisā manzar kabhī na aa.egā
fāsle se tujhe pukāroñ maiñ
ishq ke bhī usuul hote haiñ
ye mirī jiit hai ki hārūñ maiñ
maiñ kisī ko burā kahūñ kaise
pahle ḳhud ko zarā sudhārūñ maiñ
dil meñ 'hānī' kisī ke basnā hai
pahle apnī anā ko mārūñ maiñ
der tak ungliyan nihaarun main
teri zulfon ko jab sanwarun main
apne sar ko badan se dur karo
tera sadqa agar utarun main
aisa manzar kabhi na aaega
fasle se tujhe pukaron main
ishq ke bhi usul hote hain
ye meri jit hai ki haarun main
main kisi ko bura kahun kaise
pahle KHud ko zara sudhaarun main
dil mein 'hani' kisi ke basna hai
pahle apni ana ko marun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.