Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

deta hun dil jise wo kahin bewafa na ho

Jameela Khuda Bakhsh

deta hun dil jise wo kahin bewafa na ho

Jameela Khuda Bakhsh

MORE BYJameela Khuda Bakhsh

    detā huuñ dil jise vo kahīñ bevafā na ho

    ye 'ishq mere vāste shāyad qazā na ho

    duur apne dar se tum na karo ai sanam use

    jis ko zarā jahāñ meñ kahīñ aasrā na ho

    rāhat se mujh ko niiñd to aa.ī mazār meñ

    pahlū ko mere chiir ke dil chal basā na ho

    marne ke baa'd bhī yahī dhaḌkā rahā kiyā

    mil kar sabā se ḳhaak hamārī havā na ho

    shikva karūñ to yaar pur-ḳhauf hai yahī

    nāzuk mizāj hai vo ye sun kar ḳhafā na ho

    parde se dil ke baat jo kartā hai mujh se ab

    aatā hai ye ḳhayāl kahīñ ḳhud ḳhudā na ho

    rangat hai zard ruḳh to ḳhushkī laboñ pe hai

    āsār 'ishq ke haiñ kahīñ dil lagā na ho

    mar jā.ūñ ai 'jamīla' agar ishq-e-ġhaus meñ

    mumkin nahīñ ki ḳhāk-e-lahad kīmiyā na ho

    deta hun dil jise wo kahin bewafa na ho

    ye 'ishq mere waste shayad qaza na ho

    dur apne dar se tum na karo ai sanam use

    jis ko zara jahan mein kahin aasra na ho

    rahat se mujh ko nind to aai mazar mein

    pahlu ko mere chir ke dil chal basa na ho

    marne ke ba'd bhi yahi dhaDka raha kiya

    mil kar saba se KHak hamari hawa na ho

    shikwa karun to yar ka pur-KHauf hai yahi

    nazuk mizaj hai wo ye sun kar KHafa na ho

    parde se dil ke baat jo karta hai mujh se ab

    aata hai ye KHayal kahin KHud KHuda na ho

    rangat hai zard ruKH ki to KHushki labon pe hai

    aasar 'ishq ke hain kahin dil laga na ho

    mar jaun ai 'jamila' agar ishq-e-ghaus mein

    mumkin nahin ki KHak-e-lahad kimiya na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now