dete ho bosa to kahin lao bhi
dete ho bosa to kahīñ laao bhī
ḳhair kisī tarah se sharmāo bhī
aap ke va.adoñ ko hamārā salām
dekh chuke ḳhuub ajī jaao bhī
ham to abhī sulh pe maujūd haiñ
faisla yaaro koī Thahrāv bhī
naql-e-kabāb-e-jigrī kījiye
khaao mere sar kī qasam khaao bhī
dete ho bosa to kahin lao bhi
KHair kisi tarah se sharmao bhi
aap ke wadon ko hamara salam
dekh chuke KHub aji jao bhi
hum to abhi sulh pe maujud hain
faisla yaro koi Thahraw bhi
naql-e-kabab-e-jigri kijiye
khao mere sar ki qasam khao bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.