Dhab hain tere se bagh mein gul ke
Dhab haiñ tere se baaġh meñ gul ke
bū ga.ī kuchh dimāġh meñ gul ke
jā-e-roġhan diyā kare hai ishq
ḳhūn-e-bulbul charāġh meñ gul ke
dil tasallī nahīñ sabā varna
jalve sab haiñge daaġh meñ gul ke
is hadīqe ke aish par mat jā
mai nahīñ hai ayāġh meñ gul ke
sair kar 'mīr' is chaman kī shitāb
hai ḳhizāñ bhī surāġh meñ gul ke
Dhab hain tere se bagh mein gul ke
bu gai kuchh dimagh mein gul ke
ja-e-roghan diya kare hai ishq
KHun-e-bulbul charagh mein gul ke
dil tasalli nahin saba warna
jalwe sab hainge dagh mein gul ke
is hadiqe ke aish par mat ja
mai nahin hai ayagh mein gul ke
sair kar 'mir' is chaman ki shitab
hai KHizan bhi suragh mein gul ke
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0483
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.