dhaDkanon mein khinchaw dariya ka
dhaḌkanoñ meñ khiñchāv dariyā kā
ishq kyā hai bahāv dariyā kā
vasl jaise chaḌhāv dariyā kā
hijr jaise kaTāv dariyā kā
aañkh jaise chanāb jhelam hoñ
hoñT jaise ghumāv dariyā kā
Duub jaa.e na dil hamārā ab
dekh kar ke lagāv dariyā kā
dhaDkanon mein khinchaw dariya ka
ishq kya hai bahaw dariya ka
wasl jaise chaDhaw dariya ka
hijr jaise kaTaw dariya ka
aankh jaise chanab jhelam hon
honT jaise ghumaw dariya ka
Dub jae na dil hamara ab
dekh kar ke lagaw dariya ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.