dhajjiyan jaib-o-gareban ki uDa den hum log
dhajjiyāñ jaib-o-garebāñ kī uḌā deñ ham log
aa.iye fasl-e-bahārāñ kā pata deñ ham log
jis ke saa.e meñ ta.assub kī tapish shāmil ho
vaqt kahtā hai vo dīvār girā deñ ham log
dekheñ phir kaise miTāte haiñ miTāne vaale
ek ik shāḳh nasheman se sajā deñ ham log
aur agar ho na sake kuchh bhī ujāloñ kī sabīl
ik charāġh apne lahū se hī jalā deñ ham log
un kī sahbā meñ nasha hai na nigāhoñ meñ surūr
aao mahfil meñ ye afvāh uḌā deñ ham log
yuuñ bhī kaT sakte haiñ ye tishna-labī ke lamhāt
baiTh kar bazm meñ saaqī ko duā deñ ham log
sang-e-taḳhrīb kī vus.at ko kareñ yuuñ mahdūd
ik mahal shahr meñ shīshe kā banā deñ ham log
dhajjiyan jaib-o-gareban ki uDa den hum log
aaiye fasl-e-bahaaran ka pata den hum log
jis ke sae mein tassub ki tapish shamil ho
waqt kahta hai wo diwar gira den hum log
dekhen phir kaise miTate hain miTane wale
ek ek shaKH nasheman se saja den hum log
aur agar ho na sake kuchh bhi ujalon ki sabil
ek charagh apne lahu se hi jala den hum log
un ki sahba mein nasha hai na nigahon mein surur
aao mahfil mein ye afwah uDa den hum log
yun bhi kaT sakte hain ye tishna-labi ke lamhat
baiTh kar bazm mein saqi ko dua den hum log
sang-e-taKHrib ki wusat ko karen yun mahdud
ek mahal shahr mein shishe ka bana den hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.