Dhalta suraj aankh ka reza ho jata hai
Dhaltā sūraj aañkh kā reza ho jaatā hai
jhūTe ḳhvāboñ kā āmeza ho jaatā hai
apne fiqroñ se hushiyār ki fiqra aksar
dushman ke hāthoñ kā neza ho jaatā hai
pahle shīsha TuuT ke ḳhanjar ban jaatā thā
lekin ab to reza reza ho jaatā hai
husn kī sañgat phuul kī rangat se mas ho kar
shabnam kā aañsū āveza ho jaatā hai
Dhalta suraj aankh ka reza ho jata hai
jhuTe KHwabon ka aameza ho jata hai
apne fiqron se hushiyar ki fiqra aksar
dushman ke hathon ka neza ho jata hai
pahle shisha TuT ke KHanjar ban jata tha
lekin ab to reza reza ho jata hai
husn ki sangat phul ki rangat se mas ho kar
shabnam ka aansu aaweza ho jata hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 295)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.