Dhalte hue suraj ki ziya dekh rahe hain
Dhalte hue sūraj kī ziyā dekh rahe haiñ
sadiyoñ se bhī anjām-e-vafā dekh rahe haiñ
badlī huī gulshan kī havā dekh rahe haiñ
phūloñ meñ bhī kāñToñ kī adā dekh rahe haiñ
rāhoñ meñ bhaTak jaate haiñ kis tarah musāfir
manzil pe khaḌe rāh-numā dekh rahe haiñ
tārīḳh ke chehre se na.e daur ke hāthoñ
miTtī huī tahrīr-e-vafā dekh rahe haiñ
lagtā hai ki bastī meñ koī baat huī hai
har shaḳhs ko masrūf-e-duā dekh rahe haiñ
achchhā hai baras jaa.e agar dil kī zabāñ par
ham dosh pe zulfoñ kī ghaTā dekh rahe haiñ
galiyoñ meñ madīne kī abhī dekhne vaale
sarkār ke naqsh-e-kaf-e-pā dekh rahe haiñ
ehsās ke TuuTe hue ā.īne meñ 'ḳhusrav'
jaltī huī ham apnī chitā dekh rahe haiñ
Dhalte hue suraj ki ziya dekh rahe hain
sadiyon se bhi anjam-e-wafa dekh rahe hain
badli hui gulshan ki hawa dekh rahe hain
phulon mein bhi kanTon ki ada dekh rahe hain
rahon mein bhaTak jate hain kis tarah musafir
manzil pe khaDe rah-numa dekh rahe hain
tariKH ke chehre se nae daur ke hathon
miTti hui tahrir-e-wafa dekh rahe hain
lagta hai ki basti mein koi baat hui hai
har shaKHs ko masruf-e-dua dekh rahe hain
achchha hai baras jae agar dil ki zaban par
hum dosh pe zulfon ki ghaTa dekh rahe hain
galiyon mein madine ki abhi dekhne wale
sarkar ke naqsh-e-kaf-e-pa dekh rahe hain
ehsas ke TuTe hue aaine mein 'KHusraw'
jalti hui hum apni chita dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.