dhamal Dalte lafzon mein ‘ajizana kalam
dhamāl Dālte lafzoñ meñ ‘ājizāna kalām
ġhazal ke ruup meñ laa.e qalandarāna kalām
hamārī ruuh talak raqs karne lagtī hai
jab us kī aañkh sunātī hai 'ārifāna kalām
ye ḳhud-kalāmī haqīqat meñ ḳhud-kalāmī nahīñ
kisī ke saath meñ kartā huuñ ġhā.ebāna kalām
hameñ milā hai buzurgoñ se 'ishq-e-āl-e-rasūl
hamāre ḳhuun meñ shāmil hai sūfiyāna kalām
du'ā pe is liye ham ko yaqīn hai sāhib
jo dil se nikle vo hotā hai mo'jizāna kalām
tumhāre husn pe maiñ ne kalām jab bhī kiyā
mire kalām pe karne lagā zamāna kalām
kisī ke hoñToñ pe aane kī der thī 'shahbāz'
ki taaza lagne lagā hai mirā purānā kalām
dhamal Dalte lafzon mein ‘ajizana kalam
ghazal ke rup mein lae qalandarana kalam
hamari ruh talak raqs karne lagti hai
jab us ki aankh sunati hai 'arifana kalam
ye KHud-kalami haqiqat mein KHud-kalami nahin
kisi ke sath mein karta hun ghaebana kalam
hamein mila hai buzurgon se 'ishq-e-al-e-rasul
hamare KHun mein shamil hai sufiyana kalam
du'a pe is liye hum ko yaqin hai sahib
jo dil se nikle wo hota hai mo'jizana kalam
tumhaare husn pe main ne kalam jab bhi kiya
mere kalam pe karne laga zamana kalam
kisi ke honTon pe aane ki der thi 'shahbaz'
ki taza lagne laga hai mera purana kalam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.