dharti bhi sina-zan hai ki sachchai chhin li
dhartī bhī sīna-zan hai ki sachchā.ī chhīn lī
bārish kī jal-tarang ne tanhā.ī chhīn lī
nā-bīnā bechtā hai basārat ko raah meñ
gūñge ne jab se nutq-e-pazīrā.ī chhīn lī
ham log bhuuk pyaas kī shiddat na sah sake
fāqoñ ne ham se quvvat-e-goyā.ī chhīn lī
ye kis ne chāñdnī ko sameTā hai aañkh meñ
ye kis ne saare shahr kī bīnā.ī chhīn lī
maiñ gum thā apne aap meñ andarūn-e-ḳhāna qaid
lekin kisī kī yaad ne gahrā.ī chhīn chhīn lī
paanī pe tairtā rahā rangoñ kā raqs bhī
āb-e-shifā to mil gayā zebā.ī chhīn lī
ab ke mujhe milā hai mohabbat meñ aisā dukh
chehre se jis ne dilkashī rā'nā.ī chhīn lī
utrā hai aise aañkh meñ 'tāhir' ye ratjagā
daldal ko rauñd Daalā gayā kaa.ī chhīn lī
dharti bhi sina-zan hai ki sachchai chhin li
barish ki jal-tarang ne tanhai chhin li
na-bina bechta hai basarat ko rah mein
gunge ne jab se nutq-e-pazirai chhin li
hum log bhuk pyas ki shiddat na sah sake
faqon ne hum se quwwat-e-goyai chhin li
ye kis ne chandni ko sameTa hai aankh mein
ye kis ne sare shahr ki binai chhin li
main gum tha apne aap mein andarun-e-KHana qaid
lekin kisi ki yaad ne gahrai chhin chhin li
pani pe tairta raha rangon ka raqs bhi
aab-e-shifa to mil gaya zebai chhin li
ab ke mujhe mila hai mohabbat mein aisa dukh
chehre se jis ne dilkashi ra'nai chhin li
utra hai aise aankh mein 'tahir' ye ratjaga
daldal ko raund Dala gaya kai chhin li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.