dharti se aakash mein chhane wali tu
dhartī se ākāsh meñ chhāne vaalī tū
dariyāoñ kī pyaas bujhāne vaalī tū
maiñ ḳhvāhish kī barf pighalne kā manzar
mere badan meñ aag lagāne vaalī tū
din bhar sūraj aañkh meñ bharne vaalā maiñ
shab bhar rangīñ ḳhvāb sajāne vaalī tū
maiñ taqdīr kā maarā apne haal pe ḳhush
tadbīroñ se kaam chalāne vaalī tū
sahrā sahrā dhuum machāne vaalā maiñ
gulshan gulshan phuul khilāne vaalī tū
apnī rau meñ bahne vaalā dariyā maiñ
dariyā meñ tūfān uThāne vaalī tū
roz der se so kar uThne vaalā 'shān'
der raat tak use jagāne vaalī tū
dharti se aakash mein chhane wali tu
dariyaon ki pyas bujhane wali tu
main KHwahish ki barf pighalne ka manzar
mere badan mein aag lagane wali tu
din bhar suraj aankh mein bharne wala main
shab bhar rangin KHwab sajaane wali tu
main taqdir ka mara apne haal pe KHush
tadbiron se kaam chalane wali tu
sahra sahra dhum machane wala main
gulshan gulshan phul khilane wali tu
apni rau mein bahne wala dariya main
dariya mein tufan uThane wali tu
roz der se so kar uThne wala 'shan'
der raat tak use jagane wali tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.