dharti se aakash mila do
dhartī se ākāsh milā do
mujh ko merā aaj patā do
tan to ḳhud hī miT jā.egā
man paapī hai is ko sazā do
merā bachcha zid kartā hai
baabā mujh ko sūraj lā do
maiñ ne apnā qatl kiyā hai
sapnā hai ta.abīr batā do
apnā mātam ḳhud kar lūñgā
mujh ko merī laash dikhā do
dharti se aakash mila do
mujh ko mera aaj pata do
tan to KHud hi miT jaega
man papi hai is ko saza do
mera bachcha zid karta hai
baba mujh ko suraj la do
main ne apna qatl kiya hai
sapna hai tabir bata do
apna matam KHud kar lunga
mujh ko meri lash dikha do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.