Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhima dhima dard suhana hum ko achchha lagta tha

Krishn Adeeb

dhima dhima dard suhana hum ko achchha lagta tha

Krishn Adeeb

MORE BYKrishn Adeeb

    dhīmā dhīmā dard suhānā ham ko achchhā lagtā thā

    dukhte ko aur dukhānā ham ko achchhā lagtā thā

    zaḳhm ko apne phuul samajhnā motī kahnā ashkoñ ko

    ishq kārobār sajānā ham ko achchhā lagtā thā

    din din bhar āvāra phirnā ek hamārī aadat thī

    raat ga.e ghar lauT ke aanā ham ko achchhā lagtā thā

    baiTh ke yāroñ mahfil meñ piite rahnā der talak

    apne-āp ko bhuul jaanā ham ko achchhā lagtā thā

    chup chup rahnā aaheñ bharnā kuchh bhī na kahnā logoñ se

    tanhā tanhā ashk bahānā ham ko achchhā lagtā thā

    shāḳh se TuuTe sūkhe patte tez havā ke shānoñ par

    shahroñ shahroñ ḳhaak uḌānā ham ko achchhā lagtā thā

    shahr-e-ġham ek udāsī dil meñ har-dam rahtī thī

    dīvāroñ se sar Takrānā ham ko achchhā lagtā thā

    gul-badanoñ ko takte rahnā bāteñ karnā ḳhushbū

    nigah-e-gul qarz chukānā ham ko achchhā lagtā thā

    nashsha-e-ġham sarshārī bhī kam to nahīñ thī phir bhī 'adīb'

    talḳhī-e-mai meñ zahr milānā ham ko achchhā lagtā thā

    dhima dhima dard suhana hum ko achchha lagta tha

    dukhte ji ko aur dukhana hum ko achchha lagta tha

    zaKHm ko apne phul samajhna moti kahna ashkon ko

    ishq ka karobar sajaana hum ko achchha lagta tha

    din din bhar aawara phirna ek hamari aadat thi

    raat gae ghar lauT ke aana hum ko achchha lagta tha

    baiTh ke yaron ki mahfil mein pite rahna der talak

    apne-ap ko bhul hi jaana hum ko achchha lagta tha

    chup chup rahna aahen bharna kuchh bhi na kahna logon se

    tanha tanha ashk bahana hum ko achchha lagta tha

    shaKH se TuTe sukhe patte tez hawa ke shanon par

    shahron shahron KHak uDana hum ko achchha lagta tha

    shahr-e-gham ki ek udasi dil mein har-dam rahti thi

    diwaron se sar Takrana hum ko achchha lagta tha

    gul-badanon ko takte rahna baaten karna KHushbu ki

    nigah-e-gul ka qarz chukana hum ko achchha lagta tha

    nashsha-e-gham ki sarshaari bhi kam to nahin thi phir bhi 'adib'

    talKHi-e-mai mein zahr milana hum ko achchha lagta tha

    Source :
    • Book : AURAAQ (Pg. 247)
    • Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
    • Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
    • Edition : April, May 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now