dhire dhire qabr ke andar talak pahunchaegi
dhire dhire qabr ke andar talak pahunchaegi
Mohsin Aftab Kelapuri
MORE BYMohsin Aftab Kelapuri
dhīre dhīre qabr ke andar talak pahuñchā.egī
ek din mujh ko mirī ye hasrateñ khā jā.eñgī
bol collar chhoḌ deñ mere charāġhoñ kī ai raat
varna jo pāgal havā.eñ haiñ tirī pachhtā.eñgī
aao apne mas.aloñ ko ḳhud hī suljhāte haiñ ham
ye siyāsī parTiyāñ aur hameñ uljhā.eñgī
beTiyoñ ko saañs lene do khule māhaul meñ
varna ye bechāriyāñ ghuT ghuT ke hī mar jā.eñgī
zindagānī se haiñ jo shikve gile miT jā.eñge
rahmateñ allāh kī jab nuur se nahlā.eñgī
apnī ḳhuddārī ko bhī nīlām maiñ ne kar diyā
mujh se ye majbūriyāñ ab aur kyā karvā.eñgī
dhire dhire qabr ke andar talak pahunchaegi
ek din mujh ko meri ye hasraten kha jaengi
bol collar chhoD den mere charaghon ki ai raat
warna jo pagal hawaen hain teri pachhtaengi
aao apne masalon ko KHud hi suljhate hain hum
ye siyasi parTiyan aur hamein uljhaengi
beTiyon ko sans lene do khule mahaul mein
warna ye bechaariyan ghuT ghuT ke hi mar jaengi
zindagani se hain jo shikwe gile miT jaenge
rahmaten allah ki jab nur se nahlaengi
apni KHuddari ko bhi nilam main ne kar diya
mujh se ye majburiyan ab aur kya karwaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.