Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhire dhire sham ka aankhon mein har manzar bujha

Farooq Shafaq

dhire dhire sham ka aankhon mein har manzar bujha

Farooq Shafaq

MORE BYFarooq Shafaq

    dhīre dhīre shaam āñkhoñ meñ har manzar bujhā

    ik diyā raushan huā to ik diyā andar bujhā

    vo to raushan qumqumoñ ke shahr meñ mahsūr thā

    saḳht hairat hai ki aisā aadmī kyuuñ kar bujhā

    is siyah-ḳhāne meñ tujh ko jāgnā hai raat bhar

    in sitāroñ ko na be-maqsad hathelī par bujhā

    zehn āvārgī ko bhī panāheñ chāhiye

    yuuñ na sham.oñ ko kisī dahlīz par rakh kar bujhā

    aur bhī ghar the havā zad pe bastī meñ 'shafaq'

    mere ghar diyā tūfān meñ aksar bujhā

    dhire dhire sham ka aankhon mein har manzar bujha

    ek diya raushan hua to ek diya andar bujha

    wo to raushan qumqumon ke shahr mein mahsur tha

    saKHt hairat hai ki aisa aadmi kyun kar bujha

    is siyah-KHane mein tujh ko jagna hai raat bhar

    in sitaron ko na be-maqsad hatheli par bujha

    zehn ki aawargi ko bhi panahen chahiye

    yun na shamon ko kisi dahliz par rakh kar bujha

    aur bhi ghar the hawa ki zad pe basti mein 'shafaq'

    mere hi ghar ka diya tufan mein aksar bujha

    Source :
    • Book : Shahr Aainda (Pg. 26)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now