dho ke ashkon se kai bar ujali hui hai
dho ke ashkoñ se ka.ī baar ujālī huī hai
dhuup meñ jal ke vo tasvīr bhī kaalī huī hai
maiñ girūñgā to isī ḳhaak se uTThegā koī
haq-parastoñ se ye duniyā kabhī ḳhālī huī hai
lucknow naaz hai jis par vahī kohna tahzīb
ham ne virse meñ salīqe se sambhālī huī hai
ab na tasvīr hai koī na hai kīloñ kī chubhan
dil kī dīvār isī saal se ḳhālī huī hai
ḳhaak meñ mil gayā jab ruuh kā ḳhālī piñjra
mansab-e-ishq pe tab apnī bahālī huī hai
dasht-e-vahshat kā koī ḳhauf nahīñ hai ham ko
sab bhulā dene kī tadbīr nikālī huī hai
tere jaisā to kahīñ koī nahīñ hai jānāñ
ham ne āfāq kī manzil bhī khañgālī huī hai
haañ mirī fikr alag hai to sabab hai is kā
dard ke chūlhe pe sau baar ubālī huī hai
apnā haq māñgnā hākim se baġhāvat hai magar
ye rivāyat bhī hamārī hī to Daalī huī hai
mere un sheroñ pe sar dhuntī rahegī duniyā
jin meñ timsāl-garī dekhne vaalī huī hai
dho ke ashkon se kai bar ujali hui hai
dhup mein jal ke wo taswir bhi kali hui hai
main girunga to isi KHak se uTThega koi
haq-paraston se ye duniya kabhi KHali hui hai
lucknow naz hai jis par wahi kohna tahzib
hum ne wirse mein saliqe se sambhaali hui hai
ab na taswir hai koi na hai kilon ki chubhan
dil ki diwar isi sal se KHali hui hai
KHak mein mil gaya jab ruh ka KHali pinjra
mansab-e-ishq pe tab apni bahaali hui hai
dasht-e-wahshat ka koi KHauf nahin hai hum ko
sab bhula dene ki tadbir nikali hui hai
tere jaisa to kahin koi nahin hai jaanan
hum ne aafaq ki manzil bhi khangali hui hai
han meri fikr alag hai to sabab hai is ka
dard ke chulhe pe sau bar ubaali hui hai
apna haq mangna hakim se baghawat hai magar
ye riwayat bhi hamari hi to Dali hui hai
mere un sheron pe sar dhunti rahegi duniya
jin mein timsal-gari dekhne wali hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.