Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parai aag pe roTi nahin banaunga

Tahzeeb Hafi

parai aag pe roTi nahin banaunga

Tahzeeb Hafi

MORE BYTahzeeb Hafi

    Interesting Fact

    Last sher refers to the eminent poet Sarvat Hussain who allegedly committed suicide by throwing himself in front of a running train.

    parā.ī aag pe roTī nahīñ banā.ūñgā

    maiñ bhiig jā.ūñgā chhatrī nahīñ banā.ūñgā

    agar ḳhudā ne banāne iḳhtiyār diyā

    alam banā.ūñgā barchhī nahīñ banā.ūñgā

    fareb de ke tirā jism jiit luuñ lekin

    maiñ peḌ kaaT ke kashtī nahīñ banā.ūñgā

    galī se koī bhī guzre to chauñk uThtā huuñ

    na.e makān meñ khiḌkī nahīñ banā.ūñgā

    maiñ dushmanoñ se agar jañg jiit bhī jā.ūñ

    to un aurteñ qaidī nahīñ banā.ūñgā

    tumheñ patā to chale be-zabān chiiz dukh

    maiñ ab charāġh lau nahīñ banā.ūñgā

    maiñ ek film banā.ūñgā apne 'sarvat' par

    aur is meñ rail paTrī nahīñ banā.ūñgā

    parai aag pe roTi nahin banaunga

    main bhig jaunga chhatri nahin banaunga

    agar KHuda ne banane ka iKHtiyar diya

    alam banaunga barchhi nahin banaunga

    fareb de ke tera jism jit lun lekin

    main peD kaT ke kashti nahin banaunga

    gali se koi bhi guzre to chaunk uThta hun

    nae makan mein khiDki nahin banaunga

    main dushmanon se agar jang jit bhi jaun

    to un ki aurten qaidi nahin banaunga

    tumhein pata to chale be-zaban chiz ka dukh

    main ab charagh ki lau hi nahin banaunga

    main ek film banaunga apne 'sarwat' par

    aur is mein rail ki paTri nahin banaunga

    RECITATIONS

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Javed Naseem

    Parai aag pe roti nahin bnaunga - Tehzeeb Hafi Javed Naseem

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now