dhoka hai numaish hai tamasha hai guzar ja
dhokā hai numā.ish hai tamāshā hai guzar jā
ye raunaq-e-bāzār ye duniyā hai guzar jā
Thahre hue paanī kā muqaddar nahīñ hotā
bahte hue paanī kā taqāzā hai guzar jā
ehsās-e-fanā hī tirī hastī kā safar hai
ehsās-e-fanā hī tirā rasta hai guzar jā
maujoñ se guzar dīda-e-tar ḳhuub safar kar
to miil kā patthar nahīñ dariyā hai guzar jā
mahsūs jo hotā hai vahī terā jahāñ hai
jo kuchh nazar aatā hai vo saaya hai guzar jā
dhoka hai numaish hai tamasha hai guzar ja
ye raunaq-e-bazar ye duniya hai guzar ja
Thahre hue pani ka muqaddar nahin hota
bahte hue pani ka taqaza hai guzar ja
ehsas-e-fana hi teri hasti ka safar hai
ehsas-e-fana hi tera rasta hai guzar ja
maujon se guzar dida-e-tar KHub safar kar
to mil ka patthar nahin dariya hai guzar ja
mahsus jo hota hai wahi tera jahan hai
jo kuchh nazar aata hai wo saya hai guzar ja
- Book : Ishq (Pg. 53)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.