dhoke pe dhoka is tarah khate chale gae
dhoke pe dhoka is tarah khāte chale ga.e
ham dushmanoñ ko dost banāte chale ga.e
har zaḳhm-e-zindagī ko gale se lagā liyā
ham zindagī se yūñhī nibhāte chale ga.e
vo nafratoñ kā bojh liye ghūmte rahe
ham chāhatoñ ko un pe luTāte chale ga.e
jo ḳhvāb zindagī kī haqīqat na ban sakā
us ke hasīñ fareb meñ aate chale ga.e
'rūbī' chhupānā dard ko āsāñ na thā magar
ham aaḌ meñ hañsī kī chhupāte chale ga.e
dhoke pe dhoka is tarah khate chale gae
hum dushmanon ko dost banate chale gae
har zaKHm-e-zindagi ko gale se laga liya
hum zindagi se yunhi nibhate chale gae
wo nafraton ka bojh liye ghumte rahe
hum chahaton ko un pe luTate chale gae
jo KHwab zindagi ki haqiqat na ban saka
us ke hasin fareb mein aate chale gae
'rubi' chhupana dard ko aasan na tha magar
hum aaD mein hansi ki chhupate chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.