dhul se jab main aT jata hun
dhuul se jab maiñ aT jaatā huuñ
raah se thoḌā haT jaatā huuñ
vaqt kī dhaar hai mere sar par
roz zarā sā kaT jaatā huuñ
huuñ koī malbūs purānā
jagah jagah se phaT jaatā huuñ
jis ke liye huuñ jitnā zarūrī
vaise hī maiñ baT jaatā huuñ
haath meñ hai ye kis ke tarāzū
taul meñ roz hī ghaT jaatā huuñ
halkā sā ik abr-e-ravāñ huuñ
dhuup meñ jaldī chhaT jaatā huuñ
pattā bhī hil jaa.e kaheñ to
Dar se ḳhud maiñ simaT jaatā huuñ
bahas ġhalat hone par 'shāhīñ'
aap hī pīchhe haT jaatā huuñ
dhul se jab main aT jata hun
rah se thoDa haT jata hun
waqt ki dhaar hai mere sar par
roz zara sa kaT jata hun
hun koi malbus purana
jagah jagah se phaT jata hun
jis ke liye hun jitna zaruri
waise hi main baT jata hun
hath mein hai ye kis ke taraazu
taul mein roz hi ghaT jata hun
halka sa ek abr-e-rawan hun
dhup mein jaldi chhaT jata hun
patta bhi hil jae kahen to
Dar se KHud main simaT jata hun
bahas ghalat hone par 'shahin'
aap hi pichhe haT jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.