dhum machati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai
dhuum machātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
giit sunātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
sundar ḳhvāb dikhātī hai jab bhī chhat par jaatī huuñ
maañg sajātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
kyā maiñ koī bachchī huuñ kahtī hai maiñ achchhī huuñ
naaz uThātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
mere badan se mas ho kar jazboñ se bebas ho kar
saaz bajātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
ThanDe ThanDe paanī se būñdoñ kī man-mānī se
aag lagātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
mere laboñ par hai ye 'duā' saath mire ho merā piyā
jot jagātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
dhum machati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai
git sunati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai
sundar KHwab dikhati hai jab bhi chhat par jati hun
mang sajati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai
kya main koi bachchi hun kahti hai main achchhi hun
naz uThati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai
mere badan se mas ho kar jazbon se bebas ho kar
saz bajati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai
ThanDe ThanDe pani se bundon ki man-mani se
aag lagati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai
mere labon par hai ye 'dua' sath mere ho mera piya
jot jagati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.