DhunDhta hun jagah jagah saya
DhūñDhtā huuñ jagah jagah saaya
kyā añdherā huā tirā saaya
ho gayā jism bhī havā āḳhir
dekhtā rah gayā merā saaya
apne saa.e meñ aap baiThā huuñ
dhūp-jañgal meñ mar gayā saaya
saa.e ko kaun de gayā hai badan
jism ko kaun kar gayā saaya
kyā judā.ī kā ġham ai rahrav
ḳhud se rakhte haiñ ham judā saaya
sā.ebānoñ ko ab ḳhudā-hāfiz
sar pe mere hai ḳhud ḳhudā saaya
DhunDhta hun jagah jagah saya
kya andhera hua tera saya
ho gaya jism bhi hawa aaKHir
dekhta rah gaya mera saya
apne sae mein aap baiTha hun
dhup-jangal mein mar gaya saya
sae ko kaun de gaya hai badan
jism ko kaun kar gaya saya
kya judai ka gham ai rahraw
KHud se rakhte hain hum juda saya
saebanon ko ab KHuda-hafiz
sar pe mere hai KHud KHuda saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.