DhunDhun bhala KHuda ki main rahmat kahan kahan
DhunDhun bhala KHuda ki main rahmat kahan kahan
Basudeo Agarwal Naman
MORE BYBasudeo Agarwal Naman
DhūñDhuñ bhalā ḳhudā kī maiñ rahmat kahāñ kahāñ
ab kyā batā.ūñ us kī ināyat kahāñ kahāñ
sahrā nadī pahāḌ samundar ye dasht sab
dikhlā.e sab ḳhudā kī ye vus.at kahāñ kahāñ
har samt har tarah ke dikhe us ke mo.ajize
jaise ḳhudā ne likh dī ibārat kahāñ kahāñ
sāvan meñ sabziyat se hai sairāb ye fazā
bahlā.ūñ maiñ ilāhī tabī.at kahāñ kahāñ
koī na jaan paayā ḳhudā kī ḳhudā.ī ko
ye ġham kahāñ kahāñ ye masarrat kahāñ kahāñ
andar zarā to jhāñkte apne ko bhuul kar
bāhar ḳhudā kī DhūñDhte sūrat kahāñ kahāñ
rutba hai zindagānī-o-niyyat ḳhudā se tai
insān phir bhī kartā mashaqqat kahāñ kahāñ
insāniyat atā to kī insān ko ḳhudā
phailā rahā vo dekh tū dahshat kahāñ kahāñ
kahtā naman ki ek ḳhudā hai jahān meñ
jaise bhī phir ho us kī ibādat kahāñ kahāñ
DhunDhun bhala KHuda ki main rahmat kahan kahan
ab kya bataun us ki inayat kahan kahan
sahra nadi pahaD samundar ye dasht sab
dikhlae sab KHuda ki ye wusat kahan kahan
har samt har tarah ke dikhe us ke moajize
jaise KHuda ne likh di ibarat kahan kahan
sawan mein sabziyat se hai sairab ye faza
bahlaun main ilahi tabiat kahan kahan
koi na jaan paya KHuda ki KHudai ko
ye gham kahan kahan ye masarrat kahan kahan
andar zara to jhankte apne ko bhul kar
bahar KHuda ki DhunDhte surat kahan kahan
rutba hai zindagani-o-niyyat KHuda se tai
insan phir bhi karta mashaqqat kahan kahan
insaniyat ata to ki insan ko KHuda
phaila raha wo dekh tu dahshat kahan kahan
kahta naman ki ek KHuda hai jahan mein
jaise bhi phir ho us ki ibaadat kahan kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.