Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDte kya ho in aankhon mein kahani meri

Aitbar Sajid

DhunDte kya ho in aankhon mein kahani meri

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    DhūñDte kyā ho in āñkhoñ meñ kahānī merī

    ḳhud meñ gum rahnā to 'ādat hai purānī merī

    bhiiḌ meñ bhī tumheñ mil jā.ūñgā āsānī se

    khoyā khoyā huā rahnā hai nishānī merī

    maiñ ne ik baar kahā thā ki bahut pyāsā huuñ

    tab se mash.hūr huī tishna-dahānī merī

    yahī dīvār-o-dar-o-bām the mere hamrāz

    inhī galiyoñ meñ bhaTaktī thī javānī merī

    bhī is shahr baasī hai to dil se lag

    tujh se vābasta hai ik yaad purānī merī

    karbalā dasht-e-mohabbat ko banā rakkhā hai

    kyā ġhazal-goī hai kyā marsiya-ḳhvānī merī

    dhīme lahje suḳhanvar huuñ na sahbā huuñ na josh

    maiñ kahāñ aur kahāñ sho'la-bayānī merī

    DhunDte kya ho in aankhon mein kahani meri

    KHud mein gum rahna to 'adat hai purani meri

    bhiD mein bhi tumhein mil jaunga aasani se

    khoya khoya hua rahna hai nishani meri

    main ne ek bar kaha tha ki bahut pyasa hun

    tab se mashhur hui tishna-dahani meri

    yahi diwar-o-dar-o-baam the mere hamraaz

    inhi galiyon mein bhaTakti thi jawani meri

    tu bhi is shahr ka basi hai to dil se lag ja

    tujh se wabasta hai ek yaad purani meri

    karbala dasht-e-mohabbat ko bana rakkha hai

    kya ghazal-goi hai kya marsiya-KHwani meri

    dhime lahje ka suKHanwar hun na sahba hun na josh

    main kahan aur kahan sho'la-bayani meri

    Source :
    • Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 38)
    • Author : Aitabar Sajid
    • Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009)
    • Edition : 2007,2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now