dhup ab sar pe aa gai hogi
dhuup ab sar pe aa ga.ī hogī
kuchh namī dasht meñ bachī hogī
dil musalsal hī zaḳhm khātā hai
is kī miTTī meñ kuchh kamī hogī
tū bhī kuchh bad-havās lauTā hai
saañs ruk ruk ke TūTtī hogī
chāñd shab bhar dahak rahā hogā
niiñd shab bhar pighal rahī hogī
ghar kī dīvār thī hī bosīda
ab kī bārish meñ gir ga.ī hogī
dhup ab sar pe aa gai hogi
kuchh nami dasht mein bachi hogi
dil musalsal hi zaKHm khata hai
is ki miTTi mein kuchh kami hogi
tu bhi kuchh bad-hawas lauTa hai
sans ruk ruk ke TuTti hogi
chand shab bhar dahak raha hoga
nind shab bhar pighal rahi hogi
ghar ki diwar thi hi bosida
ab ki barish mein gir gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.