Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup haalat ki ho tez to aur kya mango

Aasi Ramnagri

dhup haalat ki ho tez to aur kya mango

Aasi Ramnagri

MORE BYAasi Ramnagri

    dhuup hālāt ho tez to aur kyā māñgo

    kisī dāman havā zulf saaya māñgo

    us se kyā kam hai kisī ke ruḳh-e-zebā ziyā

    māh-o-ḳhurshīd se kyuuñ un ujālā māñgo

    jis ke ba.ad aur na rah jaa.e tamannā koī

    māñgnā ho jo ḳhudā se vo tamannā māñgo

    ḳhuub hai dard lazzat ye baḌī daulat hai

    zaḳhm-e-dil ke liye marham na mudāvā māñgo

    jis se chhā.ī huī hālāt zulmat chhaT jaa.e

    tum to ḳhurshīd ho ḳhud se vo ujālā māñgo

    gar shab-e-ġham ko sahar chāho banānā 'āsī'

    kisī salmā se ziyā-e-ruḳh-e-zebā māñgo

    dhup haalat ki ho tez to aur kya mango

    kisi daman ki hawa zulf ka saya mango

    us se kya kam hai kisi ke ruKH-e-zeba ki ziya

    mah-o-KHurshid se kyun un ka ujala mango

    jis ke baad aur na rah jae tamanna koi

    mangna ho jo KHuda se wo tamanna mango

    KHub hai dard ki lazzat ye baDi daulat hai

    zaKHm-e-dil ke liye marham na mudawa mango

    jis se chhai hui haalat ki zulmat chhaT jae

    tum to KHurshid ho KHud se wo ujala mango

    gar shab-e-gham ko sahar chaho banana 'asi'

    kisi salma se ziya-e-ruKH-e-zeba mango

    Source :
    • Book : Harf Harf Khowab (Pg. 79)
    • Author : asi ramnagari
    • Publication : Nasim Pathara Po. Moghalsarai (Varansi) (1992)
    • Edition : 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now