dhup hote hue baadal nahin manga karte
dhuup hote hue bādal nahīñ māñgā karte
ham se pāgal tirā āñchal nahīñ māñgā karte
ham buzurgoñ kī rivāyat se juḌe haiñ bhaa.ī
nekiyāñ kar ke kabhī phal nahīñ māñgā karte
chhīn lo varna na kuchh hogā nadāmat ke sivā
pyaas ke raaj meñ chhāgal nahīñ māñgā karte
dhup hote hue baadal nahin manga karte
hum se pagal tera aanchal nahin manga karte
hum buzurgon ki riwayat se juDe hain bhai
nekiyan kar ke kabhi phal nahin manga karte
chhin lo warna na kuchh hoga nadamat ke siwa
pyas ke raj mein chhagal nahin manga karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.