dhup hui to aanchal ban kar kone kone chhai amman
dhuup huī to āñchal ban kar kone kone chhā.ī ammāñ
saare ghar kā shor-sharāba sūnā-pan tanhā.ī ammāñ
saare rishte jeTh-dopahrī garm havā ātish añgāre
jharnā dariyā jhiil samundar bhīnī sī purvā.ī ammāñ
us ne ḳhud ko kho kar mujh meñ ek nayā ākār liyā hai
dhartī ambar aag havā jal jaisī hī sachchā.ī ammāñ
ghar meñ jhīne rishte maiñ ne lākhoñ baar udhaḌte dekhe
chupke chupke kar detī hai jaane kab turpāī ammāñ
bābū-jī guzre aapas meñ sab chīzeñ taqsīm huiiñ tab
maiñ ghar meñ sab se chhoTā thā mere hisse aa.ī ammāñ
dhup hui to aanchal ban kar kone kone chhai amman
sare ghar ka shor-sharaba suna-pan tanhai amman
sare rishte jeTh-dopahri garm hawa aatish angare
jharna dariya jhil samundar bhini si purwai amman
us ne KHud ko kho kar mujh mein ek naya aakar liya hai
dharti ambar aag hawa jal jaisi hi sachchai amman
ghar mein jhine rishte main ne lakhon bar udhaDte dekhe
chupke chupke kar deti hai jaane kab turpai amman
babu-ji guzre aapas mein sab chizen taqsim huin tab
main ghar mein sab se chhoTa tha mere hisse aai amman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.