dhup mein sab rang gahre ho gae
dhuup meñ sab rang gahre ho ga.e
titliyoñ ke par sunahre ho ga.e
sāmne dīvār par kuchh daaġh the
ġhaur se dekhā to chehre ho ga.e
ab na sun pā.eñge ham dil kī pukār
sunte sunte kaan bahre ho ga.e
ab kisī kī yaad bhī aatī nahīñ
dil pe ab fikroñ ke pahre ho ga.e
aao 'alvī' ab to apne ghar chaleñ
din bahut dillī meñ Thahre ho ga.e
dhup mein sab rang gahre ho gae
titliyon ke par sunahre ho gae
samne diwar par kuchh dagh the
ghaur se dekha to chehre ho gae
ab na sun paenge hum dil ki pukar
sunte sunte kan bahre ho gae
ab kisi ki yaad bhi aati nahin
dil pe ab fikron ke pahre ho gae
aao 'alwi' ab to apne ghar chalen
din bahut dilli mein Thahre ho gae
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 48)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.