dhup nayab hui jati hai
dhuup nāyāb huī jaatī hai
chhāñv be-tāb huī jaatī hai
paanī dariyā meñ nahīñ hai lekin
bastī ġharqāb huī jaatī hai
gir ga.ī os badan par kaisī
ruuh sairāb huī jaatī hai
maiñ kisī raat kā sannāTā huuñ
vo koī ḳhvāb huī jaatī hai
barf kyā duur girī hai 'farhat'
naddī pāyāb huī jaatī hai
dhup nayab hui jati hai
chhanw be-tab hui jati hai
pani dariya mein nahin hai lekin
basti gharqab hui jati hai
gir gai os badan par kaisi
ruh sairab hui jati hai
main kisi raat ka sannaTa hun
wo koi KHwab hui jati hai
barf kya dur giri hai 'farhat'
naddi payab hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.