dhup sat rangon mein phailti hai aankhon par
dhuup saat rañgoñ meñ phailtī hai āñkhoñ par
barf jab pighaltī hai us kī narm palkoñ par
phir bahār ke sāthī aa ga.e Thikānoñ par
surḳh surḳh ghar nikle sabz sabz shāḳhoñ par
jism o jaañ se utregī gard pichhle mausam kī
dho rahī haiñ sab chiḌiyāñ apne pankh chashmoñ par
saarī raat sote meñ muskurā rahā thā vo
jaise koī sapnā sā kāñptā thā hoñToñ par
titliyāñ pakaḌne meñ duur tak nikal jaanā
kitnā achchhā lagtā hai phuul jaise bachchoñ par
lahr lahr kirnoñ ko chheḌ kar guzartī hai
chāñdnī utartī hai jab sharīr jharnoñ par
dhup sat rangon mein phailti hai aankhon par
barf jab pighalti hai us ki narm palkon par
phir bahaar ke sathi aa gae Thikanon par
surKH surKH ghar nikle sabz sabz shaKHon par
jism o jaan se utregi gard pichhle mausam ki
dho rahi hain sab chiDiyan apne pankh chashmon par
sari raat sote mein muskura raha tha wo
jaise koi sapna sa kanpta tha honTon par
titliyan pakaDne mein dur tak nikal jaana
kitna achchha lagta hai phul jaise bachchon par
lahr lahr kirnon ko chheD kar guzarti hai
chandni utarti hai jab sharir jharnon par
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.