dhup si umr basar karna hai
dhuup sī umr basar karnā hai
ek dīvār ko sar karnā hai
aañkh to sirf shahādat degī
dil ko tasdīq-e-sahar karnā hai
ab fasīloñ pe ugānā hai gulāb
fauj ko shahr-badar karnā hai
sirf jugnū sā chamaknā hai 'shahāb'
kab mujhe kār-e-ḳhizar karnā hai
dhup si umr basar karna hai
ek diwar ko sar karna hai
aankh to sirf shahadat degi
dil ko tasdiq-e-sahar karna hai
ab fasilon pe ugana hai gulab
fauj ko shahr-badar karna hai
sirf jugnu sa chamakna hai 'shahab'
kab mujhe kar-e-KHizar karna hai
- Book : Kaghaz Ki Kashtiyan (Pg. 148)
- Author : Mustafa Shahab
- Publication : Qalam Publications, Mumbai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.