dhup thi aur baadal chhaya tha
dhuup thī aur bādal chhāyā thā
der ke ba.ad tujhe dekhā thā
maiñ is jānib tū us jānib
biich meñ patthar kā dariyā thā
ek peḌ ke haath the ḳhālī
ik Tahnī par diyā jalā thā
dekh ke do jalte sāyoñ ko
maiñ to achānak sahm gayā thā
ek ke donoñ paañv the ġhā.eb
ek kā puurā haath kaTā thā
ek ke ulTe pair the lekin
vo tezī se bhaag rahā thā
un se ulajh kar bhī kyā letā
tiin the vo aur maiñ tanhā thā
dhup thi aur baadal chhaya tha
der ke baad tujhe dekha tha
main is jaanib tu us jaanib
bich mein patthar ka dariya tha
ek peD ke hath the KHali
ek Tahni par diya jala tha
dekh ke do jalte sayon ko
main to achanak sahm gaya tha
ek ke donon panw the ghaeb
ek ka pura hath kaTa tha
ek ke ulTe pair the lekin
wo tezi se bhag raha tha
un se ulajh kar bhi kya leta
tin the wo aur main tanha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.