dhup thi saya uTha kar rakh diya
dhuup thī saaya uThā kar rakh diyā
ye sajā tāroñ kā mahzar rakh diyā
kal talak sahrā basā thā aañkh meñ
ab magar kis ne samundar rakh diyā
surḳh-rū hotī hai kaisī zindagī
dostoñ ne lā ke patthar rakh diyā
mundamil zaḳhmoñ ke Tāñke khul ga.e
be-sabab tum ne rulā kar rakh diyā
sābit-o-sālim thā dāman kal talak
tum ne āḳhir kyuuñ jalā kar rakh diyā
miT ga.ī tishna-labī āḳhir mirī
jab gale par us ne ḳhanjar rakh diyā
ro paḌīñ āñkheñ bahut 'sāhil' mirī
jab kisī ne haath sar par rakh diyā
dhup thi saya uTha kar rakh diya
ye saja taron ka mahzar rakh diya
kal talak sahra basa tha aankh mein
ab magar kis ne samundar rakh diya
surKH-ru hoti hai kaisi zindagi
doston ne la ke patthar rakh diya
mundamil zaKHmon ke Tanke khul gae
be-sabab tum ne rula kar rakh diya
sabit-o-salim tha daman kal talak
tum ne aaKHir kyun jala kar rakh diya
miT gai tishna-labi aaKHir meri
jab gale par us ne KHanjar rakh diya
ro paDin aankhen bahut 'sahil' meri
jab kisi ne hath sar par rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.