Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhyan ki mauj ko phir aaina-sima kar len

Mukhtar Siddiqui

dhyan ki mauj ko phir aaina-sima kar len

Mukhtar Siddiqui

MORE BYMukhtar Siddiqui

    dhyān mauj ko phir ā.ina-sīmā kar leñ

    kuchh tajallī huzūrī bhī yaarā kar leñ

    aaj din bhī yūñhī biit gayā shaam huī

    aur ik raat kaTnā bhī gavārā kar leñ

    jin ḳhayāloñ ke ulaT pher meñ uljhīñ sāñseñ

    un meñ kuchh aur bhī sāñsoñ izāfa kar leñ

    jin malāloñ se lahū dil banā hai aañsū

    un ke āñkhoñ se barasne nazārā kar leñ

    ehtiyātoñ guzargāheñ huī haiñ sunsān

    ab chhupāyā huā har ghaav huvaidā kar leñ

    dhyan ki mauj ko phir aaina-sima kar len

    kuchh tajalli ki huzuri ka bhi yara kar len

    aaj ka din bhi yunhi bit gaya sham hui

    aur ek raat ka kaTna bhi gawara kar len

    jin KHayalon ke ulaT pher mein uljhin sansen

    un mein kuchh aur bhi sanson ka izafa kar len

    jin malalon se lahu dil ka bana hai aansu

    un ke aankhon se barasne ka nazara kar len

    ehtiyaton ki guzargahen hui hain sunsan

    ab chhupaya hua har ghaw huwaida kar len

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now