Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhyan mera Tanga hai khunTi par

Navin Joshi

dhyan mera Tanga hai khunTi par

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    dhyān merā Tañgā hai khūñTī par

    jaane kyā kyā Tañgā hai khūñTī par

    niiñd aane par aañkh pahnegī

    vo jo sapnā Tañgā hai khūñTī par

    dhuup raah dekhtā huuñ maiñ

    merā saayā Tañgā hai khūñTī par

    ek basta Tañgā hai album

    ik zamāna Tañgā hai khūñTī par

    us ke chehre pe ek khūñTī hai

    aur mukhauTā Tañgā hai khūñTī par

    tum ne vā'de ko Taañg kar rakkhā

    ab bharosa Tañgā hai khūñTī par

    kaam khūñTī se kyā utāroge

    jab irāda Tañgā hai khūñTī par

    yaad khūñTī hai vaqt pairāhan

    jo utārā Tañgā hai khūñTī par

    dhyan mera Tanga hai khunTi par

    jaane kya kya Tanga hai khunTi par

    nind aane par aankh pahnegi

    wo jo sapna Tanga hai khunTi par

    dhup ki rah dekhta hun main

    mera saya Tanga hai khunTi par

    ek basta Tanga hai album ka

    ek zamana Tanga hai khunTi par

    us ke chehre pe ek khunTi hai

    aur mukhauTa Tanga hai khunTi par

    tum ne wa'de ko Tang kar rakkha

    ab bharosa Tanga hai khunTi par

    kaam khunTi se kya utaroge

    jab irada Tanga hai khunTi par

    yaad khunTi hai waqt pairahan

    jo utara Tanga hai khunTi par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now