di gawahi lahu ki dhaaron ne
dī gavāhī lahū kī dhāroñ ne
paañv chūme haiñ ḳhārzāroñ ne
saath chhoḌā na ġhamgusāroñ ne
maar Daalā mujhe sahāroñ ne
kis ne luuTe maze bahāroñ ke
ham ko luuTā hai ḳhud bahāroñ ne
ghar sajā.e chaman ujaaḌ diyā
gul khilā.e fareb-kāroñ ne
ab kaheñ bhī to kyā kisī se kaheñ
kaaT dī raat ġham ke māroñ ne
dil se parde uThā.e haiñ kyā kyā
aaj baiThe hue mazāroñ ne
āḳhirash nazr kar diyā 'jarrār'
apnī jānoñ ko haq-guzāroñ ne
di gawahi lahu ki dhaaron ne
panw chume hain KHarzaron ne
sath chhoDa na ghamgusaron ne
mar Dala mujhe sahaaron ne
kis ne luTe maze bahaaron ke
hum ko luTa hai KHud bahaaron ne
ghar sajae chaman ujaD diya
gul khilae fareb-karon ne
ab kahen bhi to kya kisi se kahen
kaT di raat gham ke maron ne
dil se parde uThae hain kya kya
aaj baiThe hue mazaron ne
aaKHirash nazr kar diya 'jarrar'
apni jaanon ko haq-guzaron ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.