did-e-duniya habab ki si hai
dīd-e-duniyā habāb kī sī hai
us kī ta.abīr ḳhvāb kī sī hai
sāqiyā mai kahāñ hai shīshe meñ
raushnī āftāb kī sī hai
pairahan meñ numūd tan se tire
halkī ek tah shahāb kī sī hai
kis kā vasf dahan kiyā thā ki aaj
muñh meñ ḳhushbū gulāb kī sī hai
hālat ab dil kī hijr meñ 'mārūf'
ek shahr-e-ḳharāb kī sī hai
did-e-duniya habab ki si hai
us ki tabir KHwab ki si hai
saqiya mai kahan hai shishe mein
raushni aaftab ki si hai
pairahan mein numud tan se tere
halki ek tah shahab ki si hai
kis ka wasf dahan kiya tha ki aaj
munh mein KHushbu gulab ki si hai
haalat ab dil ki hijr mein 'maruf'
ek shahr-e-KHarab ki si hai
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.