did ka ishtiyaq thoDi hai
diid kā ishtiyāq thoḌī hai
us ko ranj-e-firāq thoḌī hai
merī qismat se vo mile haiñ mujhe
ye koī ittifāq thoḌī hai
sham'-e-ulfat jalāo.ge kaise
merā dil koī taaq thoḌī hai
un se kuchh iḳhtilāf hai lekin
merā zaatī nifāq thoḌī hai
faḳhr se baat sachchī kahtā huuñ
is meñ kuchh istirāq thoḌī hai
harf chun chun ke lā.iye 'faisal'
shā'irī hai mazāq thoḌī hai
did ka ishtiyaq thoDi hai
us ko ranj-e-firaq thoDi hai
meri qismat se wo mile hain mujhe
ye koi ittifaq thoDi hai
sham'-e-ulfat jalaoge kaise
mera dil koi taq thoDi hai
un se kuchh iKHtilaf hai lekin
mera zati nifaq thoDi hai
faKHr se baat sachchi kahta hun
is mein kuchh istiraq thoDi hai
harf chun chun ke laiye 'faisal'
sha'iri hai mazaq thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.