did ki sadd-e-rah hai ye mizha
diid kī sadd-e-rāh hai ye mizha
ḳhār-e-pā-e-nigāh hai ye mizha
nit taqātur hī us se rahtā hai
rag-e-abr-e-siyāh hai ye mizha
chashm merī vo bahr haiñ mavvāj
jis ke lab kī giyāh hai ye mizha
āñkheñ terī vo laḌne vaalī haiñ
saath jin ke sipāh hai ye mizha
har tarah dil meñ khub rahī hai tire
ḳhvāh barchhī hai ḳhvāh hai ye mizha
āñkheñ mal mal chhupāte ho tum kyuuñ
dekhnā kyā gunāh hai ye mizha
dil meñ kāñTā sā kuchh chubhe hai mire
ki 'hasan' kis kī aah hai ye mizha
did ki sadd-e-rah hai ye mizha
KHar-e-pa-e-nigah hai ye mizha
nit taqatur hi us se rahta hai
rag-e-abr-e-siyah hai ye mizha
chashm meri wo bahr hain mawwaj
jis ke lab ki giyah hai ye mizha
aankhen teri wo laDne wali hain
sath jin ke sipah hai ye mizha
har tarah dil mein khub rahi hai tere
KHwah barchhi hai KHwah hai ye mizha
aankhen mal mal chhupate ho tum kyun
dekhna kya gunah hai ye mizha
dil mein kanTa sa kuchh chubhe hai mere
ki 'hasan' kis ki aah hai ye mizha
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.