dida-e-hairan ne tamasha kiya
dīda-e-hairāñ ne tamāshā kiyā
der talak vo mujhe dekhā kiyā
zabt-e-fuġhāñ go ki asar thā kiyā
hausla kyā kyā na kiyā kyā kiyā
aañkh na lagne se shab ahbāb ne
aañkh ke lag jaane kā charchā kiyā
mar ga.e us ke lab-e-jāñ-baḳhsh par
ham ne ilaaj aap hī apnā kiyā
bujh ga.ī ik aah meñ sham-e-hayāt
mujh ko dam-e-sard ne ThanDā kiyā
ġhair ayādat se burā mānte
qatl kiyā aan ke achchhā kiyā
un se parī-vash ko na dekhe koī
mujh ko mirī sharm ne rusvā kiyā
zindagī-e-hijr bhī ik maut thī
marg ne kyā kār-e-masīhā kiyā
paan meñ ye rañg kahāñ aap ne
aap mire ḳhuun kā da.avā kiyā
jaur kā shikva na karūñ zulm hai
raaz mirā sabr ne ifshā kiyā
kuchh bhī ban aatī nahīñ kyā kījiye
us ke bigaḌne ne kuchh aisā kiyā
jaa.e thī terī mire dil meñ so hai
ġhair se kyuuñ shikva-e-bejā kiyā
rahm falak aur mire haal par
tū ne karam ai sitam-ārā kiyā
sach hī sahī aap kā paimāñ vale
marg ne kab vāda-e-fardā kiyā
da.ava-e-taklīf se jallād ne
roz-e-jazā qatl phir apnā kiyā
marg ne hijrāñ meñ chhupāyā hai muñh
lo muñh usī parda-nashīñ kā kiyā
dushman-e-'momin' hī rahe but sadā
mujh se mire naam ne ye kyā kiyā
dida-e-hairan ne tamasha kiya
der talak wo mujhe dekha kiya
zabt-e-fughan go ki asar tha kiya
hausla kya kya na kiya kya kiya
aankh na lagne se shab ahbab ne
aankh ke lag jaane ka charcha kiya
mar gae us ke lab-e-jaan-baKHsh par
hum ne ilaj aap hi apna kiya
bujh gai ek aah mein sham-e-hayat
mujh ko dam-e-sard ne ThanDa kiya
ghair ayaadat se bura mante
qatl kiya aan ke achchha kiya
un se pari-wash ko na dekhe koi
mujh ko meri sharm ne ruswa kiya
zindagi-e-hijr bhi ek maut thi
marg ne kya kar-e-masiha kiya
pan mein ye rang kahan aap ne
aap mere KHun ka dawa kiya
jaur ka shikwa na karun zulm hai
raaz mera sabr ne ifsha kiya
kuchh bhi ban aati nahin kya kijiye
us ke bigaDne ne kuchh aisa kiya
jae thi teri mere dil mein so hai
ghair se kyun shikwa-e-beja kiya
rahm falak aur mere haal par
tu ne karam ai sitam-ara kiya
sach hi sahi aap ka paiman wale
marg ne kab wada-e-farda kiya
dawa-e-taklif se jallad ne
roz-e-jaza qatl phir apna kiya
marg ne hijran mein chhupaya hai munh
lo munh usi parda-nashin ka kiya
dushman-e-'momin' hi rahe but sada
mujh se mere nam ne ye kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.