dida-e-sarf-e-intizar hai shama
dīda-e-sarf-e-intizār hai sham.a
merī hālat kī yādgār hai sham.a
nahīñ dil meñ kisī ke soz-o-gudāz
ki tamāshā-e-rozgār hai sham.a
pa.e-jumbish sadā taḌaptī hai
tapish-e-nā-tavāñ shikār hai sham.a
ruḳh-e-raushan hai nūr-e-bīnā.ī
chashm-e-ushshāq kā ġhubār hai sham.a
roz-e-tīra meñ bad-numā ḳhurshīd
shab-e-raushan meñ tīra-kār hai sham.a
yād-e-gul-e-ruḳh se phuul jhaḌte haiñ
kis bashāshat se nau-bahār hai sham.a
ḳhaak nāsūr-e-dil bhare is kā
zaḳhmī-e-girya-hā-e-zār hai sham.a
husn dīvāna sab ko kartā hai
apne hī aap par nisār hai sham.a
sub.h hote hī TimTimātī hai
aap kī chashm-e-pur-ḳhumār hai sham.a
kyuuñ na ro.e na kis tarah se jale
ki fuġhānī-e-rāz-dār hai sham.a
nahīñ bujhtī lagī huī jī kī
shola-e-jān-e-sogvār hai sham.a
hai idhar dāġh-e-barq-e-parvāna
aur udhar chashm-e-abr-bār hai sham.a
husn bhī hai ma.āl-e-kār vabāl
bazm-dar-bazm kyā hai ḳhaar hai sham.a
jhāñknā parde se burī ḳhū hai
ḳhud-ba-ḳhud aap sharmsār hai sham.a
shab-e-tanhā.ī aur tū aur ye
ai 'qalaq' terī ġham-gusār hai sham.a
dida-e-sarf-e-intizar hai shama
meri haalat ki yaadgar hai shama
nahin dil mein kisi ke soz-o-gudaz
ki tamasha-e-rozgar hai shama
pae-jumbish sada taDapti hai
tapish-e-na-tawan shikar hai shama
ruKH-e-raushan hai nur-e-binai
chashm-e-ushshaq ka ghubar hai shama
roz-e-tira mein bad-numa KHurshid
shab-e-raushan mein tira-kar hai shama
yaad-e-gul-e-ruKH se phul jhaDte hain
kis bashashat se nau-bahaar hai shama
KHak nasur-e-dil bhare is ka
zaKHmi-e-girya-ha-e-zar hai shama
husn diwana sab ko karta hai
apne hi aap par nisar hai shama
subh hote hi TimTimati hai
aap ki chashm-e-pur-KHumar hai shama
kyun na roe na kis tarah se jale
ki fughani-e-raaz-dar hai shama
nahin bujhti lagi hui ji ki
shola-e-jaan-e-sogwar hai shama
hai idhar dagh-e-barq-e-parwana
aur udhar chashm-e-abr-bar hai shama
husn bhi hai maal-e-kar wabaal
bazm-dar-bazm kya hai KHar hai shama
jhankna parde se buri KHu hai
KHud-ba-KHud aap sharmsar hai shama
shab-e-tanhai aur tu aur ye
ai 'qalaq' teri gham-gusar hai shama
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.