diida hai kahīñ dil kahīñ aur jaan kahīñ aur
baiThā to huuñ yaañ par hai mirā dhyān kahīñ aur
kyoñ sair-e-gulistāñ ko ham is kūche se jāveñ
lagtā hī nahīñ dil kisī unvān kahīñ aur
duniyā meñ go mushkil koī āsāñ nahīñ hotī
shāyad ki ho mushkil mirī āsān kahīñ aur
fariyād ko jī chāhe to juz kūcha-e-jānāñ
jaanā na kabhī ai dil-e-nādān kahīñ aur
hai turfa ki tujh sā na mirā dost ho nāseh
aur jā.ūñ silāne maiñ garebān kahīñ aur
jis shahr meñ ham rahte haiñ hai jā-e-tilismāt
aisī to parī hoñgī na insān kahīñ aur
ai 'muntazir' us zulf kā tū chheḌ na qissa
ho jaave tirā dil na pareshān kahīñ aur
dida hai kahin dil kahin aur jaan kahin aur
baiTha to hun yan par hai mera dhyan kahin aur
kyon sair-e-gulistan ko hum is kuche se jawen
lagta hi nahin dil kisi unwan kahin aur
duniya mein go mushkil koi aasan nahin hoti
shayad ki ho mushkil meri aasan kahin aur
fariyaad ko ji chahe to juz kucha-e-jaanan
jaana na kabhi ai dil-e-nadan kahin aur
hai turfa ki tujh sa na mera dost ho naseh
aur jaun silane main gareban kahin aur
jis shahr mein hum rahte hain hai ja-e-tilismat
aisi to pari hongi na insan kahin aur
ai 'muntazir' us zulf ka tu chheD na qissa
ho jawe tera dil na pareshan kahin aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.