didani ab safar-e-zist ka manzar hoga
dīdanī ab safar-e-zīst kā manzar hogā
jis ne luuTā sar-e-bāzār vo rahbar hogā
hāl-e-dil kah ke hue aur giraftār-e-alam
ham na kahte the ki yuuñ dard fuzūñ-tar hogā
jīte-jī ham se kabhī harf-e-vafā kah Daalo
phir ye hogā bhī jo ehsān to kis par hogā
tū mirī jur.at-e-guftār pe hairāñ kyuuñ hai
ye tamāshā tirī sarkār meñ aksar hogā
un kī āñkhoñ meñ chamakte hue taare dekhe
ab to nāseh bhī pashemān barābar hogā
ham bhī ab 'arsh' nayā bāb-e-vafā kholeñge
shahpar-e-shauq mah-o-mehr kā ham-sar hogā
didani ab safar-e-zist ka manzar hoga
jis ne luTa sar-e-bazar wo rahbar hoga
haal-e-dil kah ke hue aur giraftar-e-alam
hum na kahte the ki yun dard fuzun-tar hoga
jite-ji hum se kabhi harf-e-wafa kah Dalo
phir ye hoga bhi jo ehsan to kis par hoga
tu meri jurat-e-guftar pe hairan kyun hai
ye tamasha teri sarkar mein aksar hoga
un ki aankhon mein chamakte hue tare dekhe
ab to naseh bhi pasheman barabar hoga
hum bhi ab 'arsh' naya bab-e-wafa kholenge
shahpar-e-shauq mah-o-mehr ka ham-sar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.