din-o-duniya bhula ke baiThe hain
dīn-o-duniyā bhulā ke baiThe haiñ
rañg aisā chaḌhā ke baiThe haiñ
ishq bhī maqsad-e-hayāt nahīñ
ishq ko aazmā ke baiThe haiñ
ek shikvoñ bharā kiyā massage
ek picture jalā ke baiThe haiñ
phir muravvat meñ jast bhar lī aur
phir na.ī choT khā ke baiThe haiñ
baat se baat ban paḌe apnī
baat aage baḌhā ke baiThe haiñ
jo mirā saath dene nikle the
ab vahī laḌkhaḌā ke baiThe haiñ
ham use yaad kar sakeñ far-far
is liye paas aa ke baiThe haiñ
din-o-duniya bhula ke baiThe hain
rang aisa chaDha ke baiThe hain
ishq bhi maqsad-e-hayat nahin
ishq ko aazma ke baiThe hain
ek shikwon bhara kiya massage
ek picture jala ke baiThe hain
phir murawwat mein jast bhar li aur
phir nai choT kha ke baiThe hain
baat se baat ban paDe apni
baat aage baDha ke baiThe hain
jo mera sath dene nikle the
ab wahi laDkhaDa ke baiThe hain
hum use yaad kar saken far-far
is liye pas aa ke baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.