dip andhon ke darmiyan hoga
diip andhoñ ke darmiyāñ hogā
to ujāle kā imtihāñ hogā
dil ke andar bhī chaar ḳhāne haiñ
koī kaise na bad-gumāñ hogā
jis ke pairoñ tale zamīñ hogī
us ke qadmoñ meñ āsmāñ hogā
ik haqīqat se āshnā huuñ maiñ
sab kā duniyā meñ imtihāñ hogā
jāoge tum jahāñ jahāñ 'ahyā'
ik divāna vahāñ vahāñ hogā
dip andhon ke darmiyan hoga
to ujale ka imtihan hoga
dil ke andar bhi chaar KHane hain
koi kaise na bad-guman hoga
jis ke pairon tale zamin hogi
us ke qadmon mein aasman hoga
ek haqiqat se aashna hun main
sab ka duniya mein imtihan hoga
jaoge tum jahan jahan 'ahya'
ek diwana wahan wahan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.